wo be-niyaz mujhe uljhanon mein Dal gaya
ki jis ke pyar mein ehsas-e-mah-o-sal gaya
har ek baat ke yun to diye jawab us ne
jo KHas baat thi har bar hans ke Tal gaya
kai sawal the jo main ne soch rakkhe the
wo aa gaya to mujhe bhul har sawal gaya
jo umr jazbon ka sailab ban ke aai thi
guzar gai to laga daur-e-e'tidal gaya
wo ek zat jo KHwab-o-KHayal lai thi
isi ke sath har ek KHwab har KHayal gaya
use to is ka koi ranj bhi na ho shayad
ki us ki bazm se koi shikasta-haal gaya
Ghazal
Wo be-niyaz mujhe uljhanon mein Dal gaya
Ahmad Rahi