wo be-hunar hun ki hai zindagi wabaal mujhe
kamal gar nahin deta to de zawal mujhe
wo bad-guman hua hun ki e'tibar uTha
sadaqaton pe bhi kya kya hain ehtimal mujhe
main apne aap ko pahchanne se Darta hun
tabah kar gai ye gard-e-mah-o-sal mujhe
ghazab hua teri yaadon ne sath chhoD diya
hanuz meri mohabbat hai ek sawal mujhe
ye kya hua ki hawas ki giraft tang hui
main tujh se hath chhuDane ko hun sambhaal mujhe
wo fasle hain ki aankhon mein KHwab nachte hain
mili firaq mein bhi lazzat-e-visal mujhe
wo bewafa hai to is ka bhi gham bahut hai magar
main ba-wafa hun to is ka bhi hai malal mujhe
Ghazal
Wo be-hunar hun ki hai zindagi wabaal mujhe
Asif Jamal