اردو हिंदी
Wo be-asar tha musalsal dalil karte hue | Shaahi Shayari
wo be-asar tha musalsal dalil karte hue

Ghazal

Wo be-asar tha musalsal dalil karte hue

Alok Mishra

;

wo be-asar tha musalsal dalil karte hue
main mutmain tha ghazal ko wakil karte hue

wo mere zaKHm ko nasur kar gae aaKHir
main pur-umid tha jin se appeal karte hue

ajib KHwab tha aankhon mein KHun chhoD gaya
ki nind guzri hai mujh ko zalil karte hue

sabab hai kya ki main sairab hun sar-e-sahra
juda hua tha wo aankhon ko jhil karte hue

mara hua main wo kirdar hun kahani ka
jo ji raha hai kahani tawil karte hue