اردو हिंदी
Wo bastiyan wo baam wo dar kitni dur hain | Shaahi Shayari
wo bastiyan wo baam wo dar kitni dur hain

Ghazal

Wo bastiyan wo baam wo dar kitni dur hain

Mahtab Haider Naqvi

;

wo bastiyan wo baam wo dar kitni dur hain
mahtab tere chand-nagar kitni dur hain

wo KHwab jo ghubar-e-guman mein nazar na aae
wo KHwab tujh se dida-e-tar kitni dur hain

baam-e-KHayal-e-yar se utre to ye khula
hum se hamare sham-o-sahar kitni dur hain

ai aasman in ko jahan hona chahiye
us KHak se ye KHak-basar kitni dur hain

baiThe biThae dil ke safar par chale to aae
lekin wo mehrban-e-safar kitni dur hain

ye bhi ghazal tamam hui sham ho chuki
afsun-e-shairi ke hunar kitni dur hain