اردو हिंदी
Wo barq-e-naz gurezan nahin to kuchh bhi nahin | Shaahi Shayari
wo barq-e-naz gurezan nahin to kuchh bhi nahin

Ghazal

Wo barq-e-naz gurezan nahin to kuchh bhi nahin

Ravish Siddiqi

;

wo barq-e-naz gurezan nahin to kuchh bhi nahin
magar sharik-e-rag-e-jaan nahin to kuchh bhi nahin

hazar dil hai tera mashriq-e-mah-o-KHurshid
ghubar-e-manzil-e-jaanan nahin to kuchh bhi nahin

bahaar-e-gul-kada-e-naz dil-kusha hai magar
nasim-e-shauq KHiraman nahin to kuchh bhi nahin

hai KHalwat-e-dil-e-viran hi manzil-e-mahbub
ye KHalwat-e-dil-e-viran nahin to kuchh bhi nahin

har ek sans ho aatish-kada to kya hasil
gudaz shola-e-pinhan nahin to kuchh bhi nahin

baghair ishq hai rudad-e-zindagi tarik
ye lafz zinat-e-unwan nahin to kuchh bhi nahin

bahut buland hai dil ka maqam-e-KHuddari
magar shikast ka imkan nahin to kuchh bhi nahin

sukun-e-shauq ho ya iztirab-e-shauq 'rawish'
agar ba-manzila-e-jaan nahin to kuchh bhi nahin