wo band muTThiyon ko meri kholne na de
ghairat magar zaban se mujhe bolne na de
chaaron taraf se mujh ko bulata hai aasman
lekin kashish zamin ki par tolne na de
wo muskura raha hai kanwal ban ke fikr mein
kichaD mein apna jism mujhe gholne na de
diwar-e-shab ko toD ke dar aai raushni
KHwab-e-giran ki aankh idhar kholne na de
roke hai talKH baat se miThi zaban meri
ek bund zahr sidq mujhe gholne na de
hiron mein taulta hai wahi apne aap ko
jo mujh ko bahr-e-gham se guhar rolne na de
kahta hai misl-e-saiqal-e-aina sher ko
apne mein koi rang 'raza' gholne na de
Ghazal
Wo band muTThiyon ko meri kholne na de
Qazi Hasan Raza