اردو हिंदी
Wo bahte dariya ki be-karani se Dar raha tha | Shaahi Shayari
wo bahte dariya ki be-karani se Dar raha tha

Ghazal

Wo bahte dariya ki be-karani se Dar raha tha

Dilawar Ali Aazar

;

wo bahte dariya ki be-karani se Dar raha tha
shadid pyasa tha aur pani se Dar raha tha

nazar nazar ki yaqin-pasandi pe KHush thi lekin
badan badan ki guman-risani se Dar raha tha

sabhi ko nind aa chuki thi yun to pari se mil kar
magar wo ek tifl jo kahani se Dar raha tha

larazte honTon se gir paDe the huruf ek din
dil apne jazbon ki tarjumani se Dar raha tha

lughat-e-jaan se kashid karte hue suKHan ko
main ek harf-e-ghalat maani se Dar raha tha

jama hua KHun hai ragon mein na jaane kab se
ruka hua KHwab hai rawani se Dar raha tha

wo be-nishan hai jise nishan ki hawas thi 'azar'
wo raegan hai jo raegani se Dar raha tha