اردو हिंदी
Wo bad-dua use samjhe agar dua likkhun | Shaahi Shayari
wo bad-dua use samjhe agar dua likkhun

Ghazal

Wo bad-dua use samjhe agar dua likkhun

Hayat Lakhnavi

;

wo bad-dua use samjhe agar dua likkhun
ab aise shaKHs ko main apna haal kya likkhun

kisi ka zauq-e-samaat qusur-war nahin
main kyun na harf-e-tamanna ko be-sada likkhun

ab aate lamhon ke aasar ye batate hain
jo waqt bit gaya us ko hadsa likkhun

mujhe talluq-e-KHatir ho kya zamane se
kisi ke nam bhi KHat ho tera pata likkhun

isi KHayal se fikr-e-suKHan mein ghaltan hun
main chahta hun ki mazmun koi naya likkhun

ye KHud-satai ke pahlu ye ehtiyat 'hayat'
kabhi to saf koi apna waqia likkhun