wo baat baat pe ji bhar ke bolne wala
ulajh ke rah gaya Dori ko kholne wala
lo sare shahr ke patthar sameT lae hain hum
kahan hai hum ko shab o roz taulne wala
hamara dil ki samundar tha us ne dekh liya
bahut udas hua zahr gholne wala
kisi ki mauj-e-farawan se kha gaya kya mat
wo ek nazar mein dilon ko TaTolne wala
wo aaj phir yahi dohra ke chal diya 'bani'
main bhul ke nahin ab tujh se bolne wala
Ghazal
Wo baat baat pe ji bhar ke bolne wala
Rajinder Manchanda Bani

