wo baat baat mein itna badalta jata hai
ki jis tarah koi lahja badalta jata hai
ye aarzu thi ki hum us ke sath sath chalen
magar wo shaKHs to rasta badalta jata hai
ruten visal ki ab KHwab hone wali hain
ki us ki baat ka lahja badalta jata hai
raha jo dhup mein sar par mere wahi aanchal
hawa chali hai to kitna badalta jata hai
wo baat kar jise duniya bhi mo'tabar samjhe
tujhe KHabar hai zamana badalta jata hai
Ghazal
Wo baat baat mein itna badalta jata hai
Noshi Gilani