wo bar-e-farz-e-takalluf mujhi ko dhona paDa
use rulane ki KHatir mujhe bhi rona paDa
wo ek husn tha jis ki thi sirf KHwab mein bud
use jagane ki chahat mein mujh ko sona paDa
main dekhta hun ye chhinTe lagen ge kis ke hath
mujhe jo aaj udasi se hath dhona paDa
ye kya hua ki teri dhun mein jin se bichhDe the
unhin ke samne tujh se bichhaD ke rona paDa
main apni marzi se is duniya mein hua kab tha
maani ye hain ki mujh ko jahan mein hona paDa

Ghazal
Wo bar-e-farz-e-takalluf mujhi ko dhona paDa
Pallav Mishra