wo baam pe phir jalwa-numa mere liye hai
gul-bar-o-ziya-bar faza mere liye hai
pur-nur hua jata hai har jada-e-mughazal
peshani-e-simin ki ziya mere liye hai
ta-hadd-e-nazar phail gaya rang faza mein
KHush-rang wo tahrir-e-hina mere liye hai
ruKHsar-o-lab-o-gesu-o-abru ke jahan mein
har gam pe ek hashr bapa mere liye hai
kuchh dard ki shiddat mein kami hai to sahi ab
shayad tere honTon pe dua mere liye hai
go tab nahin aur sitam sahne ki phir bhi
ahbab ki har tarz-e-jafa mere liye hai
main ab bhi 'nadim' apne muqaddar pe hun nazan
wo naqsh-e-qadam rah-numa mere liye hai

Ghazal
Wo baam pe phir jalwa-numa mere liye hai
Raj Kumar Soori Nadeem