wo baad-e-garm tha baad-e-saba ke hote hue
main zaKHm zaKHm tha barg-e-hina ke hote hue
bas ek manzar-e-KHali tha meri aankhon mein
nigar-e-KHana-e-rang-e-hina ke hote hue
wo taq-e-dil ho ki mehrab-e-mimbar-e-maqtal
charagh sab ne jalae hawa ke hote hue
ajib log the KHamosh rah ke jite the
dilon mein hurmat-e-sang-e-sada ke hote hue
wo ek wasl ki shab bhi malal mein guzri
girah-e-kushai-e-band-e-qaba ke hote hue
wo lauT aae the ranj-e-safar ke imkan se
rafiq-e-rah ki aawaz-e-pa ke hote hue
na kam hua tha gunahon se raghbaton ka junun
hazar sohbat-e-sidq-o-safa ke hote hue
Ghazal
Wo baad-e-garm tha baad-e-saba ke hote hue
Zubair Rizvi