wo awwalin dard ki gawahi saji hui bazm-e-KHwab jaise
wo chashm-e-surma kalam karti wo sare chehre kitab jaise
wo aankh saya-fagan hai dil par jo be-KHudi ka hai istiara
ghuli hui nilgun samundar mein talat-e-mahtab jaise
bas ek dhamaka ki raat ki sarhadon ka kuchh to suragh paen
bas ek chingari chahta ho fatila-e-aftab jaise
wo jis ki padash mein sahar-zad apni aankhen ganwa chuke hain
ek aur tabir chahte hun wo awwalin shab ke KHwab jaise
wo mauj-e-sarkash jo sahilon ko Dubo gai kaise TuTti hai
is ek manzar ke dekhne ko khuli ho chashm-e-habab jaise
meri mizha se Tapakta aansu ho jaise har Dubta sitara
likha gaya ho meri hi palkon pe rat-jagon ka hisab jaise
lahu jo rizq-e-zamin hua hai wo barishon mein dhula nahin hai
tamam aainda mausamon ke ho nam ye intisab jaise

Ghazal
Wo awwalin dard ki gawahi saji hui bazm-e-KHwab jaise
Tauseef Tabassum