اردو हिंदी
Wo aur honge jo wahm-o-guman ke sath chale | Shaahi Shayari
wo aur honge jo wahm-o-guman ke sath chale

Ghazal

Wo aur honge jo wahm-o-guman ke sath chale

Shola Haspanvi

;

wo aur honge jo wahm-o-guman ke sath chale
hum apni rah pe azm-e-jawan ke sath chale

talash-e-yar mein hum har maqam se guzre
kabhi zamin kabhi aasman ke sath chale

na jaane kitni hi sadiyon ke fasle hain abhi
hui hai umr zaman-o-makan ke sath chale

kabhi to paenge hum bhi hayat ki manzil
isi KHayal se umr-e-rawan ke sath chale

tamam raat kisi ajnabi ka sath raha
sahar hui to dil-e-bad-guman ke sath chale

jo phul ban ke mahakte the rahguzaron mein
ghubar ban ke tere karwan ke sath chale

wo husn-o-ishq ke qisse hain jin se wabasta
unhi ka zikr meri dastan ke sath chale

junun ke dosh pe rakh kar charagh-e-hasti hum
qaza ko DhunDne mauj-e-rawan ke sath chale

usi ko kahte hain shayad nasib ki gardish
bahaar aae to shoala KHizan ke sath chale