اردو हिंदी
Wo aur honge jinko haram ki talash hai | Shaahi Shayari
wo aur honge jinko haram ki talash hai

Ghazal

Wo aur honge jinko haram ki talash hai

Fana bulandshahri

;

wo aur honge jin ko haram ki talash hai
mujh ko to tere naqsh-e-qadam ki talash hai

main to gunahgar-e-mohabbat hun ai sanam
mujh ko teri nigah-e-karam ki talash hai

zahid sanam-kada meri manzil nahin magar
aashiq hun mujh ko apne sanam ki talash hai

main tera ho chuka hun zamane se kya gharaz
ai jaan-e-jaan mujhe tere gham ki talash hai

zahid talash karta hun apne sanam ko main
tujh ko sanam ke badle iram ki talash hai

le kar haram mein shaiKH gaya din ki talab
panDit ko but-kade mein dharam ki talash hai

hum aashiqon ka kya hai ye marzi hai yar ki
un ka sitam mile to sitam ki talash hai

mera dharam yahi hai ki mil jae tu mujhe
teri hi justuju mein haram ki talash hai

main to 'fana' hun ishq mein ai jaan kya kahen
tum jo ata karo usi gham ki talash hai