wo aur bazm hai jis mein charagh jalte hain
yahan to apne hi dil aur dimagh jalte hain
tum apni bazm-e-faraghat se dur dekho to
KHud apni aag mein yan kitne bagh jalte hain
nikal ke dekho haram se bahaar duniya ki
ki but-kade mein hazaron charagh jalte hain
ye faiz-e-garmi-e-dil hai ki josh-e-baada-e-tund
hamare hath mein aa kar ayagh jalte hain
ajib sard faza hai swad-e-alam ki
KHusha wo bazm jahan dil ke dagh jalte hain
kahan faragh ki dil mein hain walwale jis ke
abhi to walwala-ha-e-faragh jalte hain
Ghazal
Wo aur bazm hai jis mein charagh jalte hain
Khurshid-ul-islam

