wo arzan to karen jawon ko diwane bhi aate hain
jahan shamen jala karti hain parwane bhi aate hain
kuchh is andaz se aae teri mahfil mein diwane
koi ye kah to de mahfil mein diwane bhi aate hain
ye fitrat husn ki hai wo taqaza hai mohabbat ka
wo dil ko toDne ke baad samjhane bhi aate hain
sabhi sehn-e-chaman mein phul chunne ko nahin aate
kuchh apne damanon mein KHar uljhane bhi aate hain
mohabbat ke gulistanon mein phalne-phulne walo
isi raste mein aage chal ke virane bhi aate hain
nahin malum tark-e-dosti ke baad kyun mahshar
wo tark-e-dosti par bahs farmane bhi aate hain
Ghazal
Wo arzan to karen jawon ko diwane bhi aate hain
Mahshar Badayuni