wo apni zat mein gum tha nahin khula mere sath
raha hai sath mere par nahin raha mere sath
ye teri yaad ka eajaz hi to hai ki ye dil
main jal ke rakh hua hun nahin jala mere sath
tere KHilaf kiya jab bhi ehtijaj ai dost
mera wajud bhi shamil nahin hua mere sath
mera jo rasta tha dar-asl rasta tha wahi
ye aur baat zamana nahin chala mere sath
nibha saka na talluq koi bhi main 'fartash'
yahan hai kaun ki jis ko nahin gila mere sath
Ghazal
Wo apni zat mein gum tha nahin khula mere sath
Fartash Syed