wo apne shahr-e-faraghat se kam nikalta hai
nikal bhi aae to fursat se kam nikalta hai
main KHanqah ke bahar khaDa hun muddat se
yahan bhi kaam aqidat se kam nikalta hai
falak ki sair ke paigham aate rahte hain
badan hi KHak ki dahshat se kam nikalta hai
sambhal sambhal ke to chalta hai wo sitara bhi
tumhaari jaisi nazakat se kam nikalta hai
main napta hun to har bar raqba-e-aflak
meri nigah ki wusat se kam nikalta hai
hamesha ishq ko hi manni paDi hai haar
hamesha husn zarurat se kam nikalta hai
ye nafraton ko miTane ki zid rahe baqi
magar ye kaam mohabbat se kam nikalta hai
Ghazal
Wo apne shahr-e-faraghat se kam nikalta hai
Nomaan Shauque

