wo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai
talluqat to ab bhi hain rabta kam hai
tum is KHamosh tabiat pe tanz mat karna
wo sochta hai bahut aur bolta kam hai
bila sabab hi miyan tum udas rahte ho
tumhaare ghar se to masjid ka fasla kam hai
fuzul tez hawaon ko dosh deta hai
use charagh jalane ka hausla kam hai
main apne bachchon ki KHatir hi jaan de deta
magar gharib ki jaan ka muawza kam hai
Ghazal
Wo apne ghar ke darichon se jhankta kam hai
Nawaz Deobandi