اردو हिंदी
Wo aks mujh mein junun-saz raqs karne laga | Shaahi Shayari
wo aks mujh mein junun-saz raqs karne laga

Ghazal

Wo aks mujh mein junun-saz raqs karne laga

Shamshir haidar

;

wo aks mujh mein junun-saz raqs karne laga
main aaine ki tarah TuTne bikharne laga

shab-e-alam hai sitaron se ham-kalami hai
isi bahane safar KHair se guzarne laga

main tum se dur hua hun to maslahat hai koi
ye mat samajhna ki mil ke nasha utarne laga

nahin rahi tere naqsh-e-qadam ki bas yahan
ye rasta teri yaadon se ab sanwarne laga