wo aks-e-KHwab hai paikar nahin hai 
shuur-e-zat se bahar nahin hai 
agarche aasman sar par nahin hai 
zamin bhi to mera bistar nahin hai 
faza masmum hoti ja rahi hai 
meri KHatir mera hi ghar nahin hai 
ufuq ke rang hain chehre pe us ke 
shikast-e-KHwab ka manzar nahin hai 
faqat main hun tere madd-e-muqabil 
mere pichhe mera lashkar nahin hai
        Ghazal
Wo aks-e-KHwab hai paikar nahin hai
Khalid Jamal

