wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain
na puchho kaise kaise tir-o-paikan yaad aate hain
wo jin ke tahat jhuk jata tha sar asnam ke aage
wahi bhule hue ahkaam-e-yazdan yaad aate hain
jo akasr bar-war hone se pahle TuT jate the
wahi KHasta shikasta ahd-o-paiman yaad aate hain
wo marmar ki tarah shaffaf aur hanste hue aaza
hayat-e-jawidan ke saz-o-saman yaad aate hain
guman hota hai wahshi nikhaton ne bhench Dala hai
kuchh itne be-mahaba sumbulistan yaad aate hain
wo gul-andaz jin ka KHalq sarmaya tha jine ka
wo ban ban kar charagh-e-mahfil jaan yaad aate hain
KHayal aata hai jab bhi dilbaron ki ham-nashini ka
talatum rang ke KHushbu ke tufan yaad aate hain
uDi phirti thi boson ki chaTak jin ki fazaon mein
wo ehsasat mein Dube shabistan yaad aate hain
faqih-o-shaiKH ke zehnon mein but honge KHudaon ke
main insan hun mujhe to sirf insan yaad aate hain
piyala sham ko rakhta hun jab bhi main 'adam' aage
jawan ham-joliyon ke ru-e-KHandan yaad aate hain
Ghazal
Wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain
Abdul Hamid Adam