اردو हिंदी
Wo abr saya-fagan tha jo rahmaton ki tarah | Shaahi Shayari
wo abr saya-fagan tha jo rahmaton ki tarah

Ghazal

Wo abr saya-fagan tha jo rahmaton ki tarah

Saif Ali

;

wo abr saya-fagan tha jo rahmaton ki tarah
kise KHabar thi nawazega bijliyon ki tarah

us inqalab ki dastak sunai deti hai
jo bastiyon ko miTa dega zalzalon ki tarah

mila hai wo to laga hai janam janam ka rafiq
bichhaD gaya tha jo bachpan ke sathiyon ki tarah

meri hai pyas jo sahra-ba-lab, sharar-ba-zaban
tumhaari aankh hai gahre samundaron ki tarah

main us ke qurb ki KHushbu se ban gaya hun gulab
wo mere pas chahakti hai bulbulon ki tarah

sitam-zarif jajon ne hai 'saif' jhuThlaya
hamare KHun ko jhuTi shahadaton ki tarah