wo aazmaen mujhe un ko aazmaun main
phir aandhiyon ke liye ek diya jalaun main
phir apni yaad ki purwaiyan bhi qaid kare
wo chahta hai agar us ko bhul jaun main
udas aankhon ko saughat de ke ashkon ki
ye us ne KHub kaha hai ki muskuraun main
miyan ye zist ki sachchaiyon ke qisse hain
koi fasana nahin hai jise sunaun main
fasad, qatl, tassub, fareb, makkari
safed-poshon ki baaten hain kya bataun main
isi ko kahte hain mearaj kya mohabbat ki
wo yaad aae to phir KHud ko bhul jaun main
jamal-e-yar pe ghazlen to ho chuki hain bahut
ye sochta hun use aaina dikhaun main
Ghazal
Wo aazmaen mujhe un ko aazmaun main
Mujahid Faraaz