اردو हिंदी
Wo aate-jate idhar dekhta zara sa hai | Shaahi Shayari
wo aate-jate idhar dekhta zara sa hai

Ghazal

Wo aate-jate idhar dekhta zara sa hai

Inam Kabeer

;

wo aate-jate idhar dekhta zara sa hai
nahin hai rabt magar rabta zara sa hai

ye kufiyon ki kahani hai mere dost magar
yahan pe aap ka bhi tazkira zara sa hai

ab us ko kaTne mein jaane kitni umr lage
hamare darmiyan jo fasla zara sa hai

nigah ek saDak hai aur us ki manzil-e-dil
idhar se jawe to ye rasta zara sa hai

tujhe laga ki tu kar lega sabr mere baghair
tu kar ke dekh hi le tajraba zara sa hai

idhar 'kabir' bagule hawa ke tund-o-tez
aur is taraf ye akela diya zara sa hai