wo aarzu wo tamanna wo iztirab nahin
main ab wahan hun jahan koi baryab nahin
teri nazar hai jise inqalab kahte hain
teri nazar ke siwa koi inqalab nahin
teri nigah ki shauq-afriniyan tauba
jo kaamyab hai wo bhi to kaamyab nahin
gham-e-firaq ki be-kaifiyan KHuda ki panah
sharab mein bhi to kaifiyyat-e-sharab nahin
mujhe pukar rahe hain sanam-kade wale
meri duaen jo kabe mein mustajab nahin
sab inqalab the un ki nigah phirne tak
ab aasman ki gardish mein inqalab nahin
jab iltifat na tha ishtiyaq rahta tha
ab iltifat hua hai to dil ko tab nahin
wahin se uThte hain har inqalab ke baadal
wo mai-kada ki jahan koi inqalab nahin
meri nazar ko na thi tab un ke jalwon ki
ab un ke jalwon ko meri nazar ki tab nahin
badal gae hain shab-o-roz-e-zindagi 'bismil'
wo mahtab nahin ab wo aaftab nahin
Ghazal
Wo aarzu wo tamanna wo iztirab nahin
Bismil Saeedi

