wo aarzu na rahi aur wo muddaa na raha
hamare aap ke hargiz wo majra na raha
sar-e-niyaz raha zer-e-pa-e-yaad mudam
hina ki tarah main qadmon se kab laga na raha
dil aashnai ko chahe kisi ki KHak mera
ki aashna jo hua tha wo aashna na raha
hamesha jis se pahunchta rahe tha dil ko alam
hazar shukr ki wo dard-e-be-dawa na raha
jab aap hum ne butan tark aashnai ki
kisi bhi tarah ka tum se hamein gila na raha
gulon ke chehron pe zardi si phir rahi hai tamam
gai bahaar wo mausam ka ibtida na raha
safa-e-sina se phisla na kab dil-e-ashiq
ki chah-e-naf mein wo KHun-girafta ja na raha
hazar harf-e-zaban-soz darmiyan aae
hai sach to ye ki mohabbat mein wo maza na raha
chaman ko chhoD hum aise chale gae su-e-dasht
ki nam ko bhi phir andesha-e-saba na raha
ye kis ke chah-e-zanaKHdan ki fikr mein Duba
tamam raat jo zanu se sar juda na raha
ajab na jaan gar aa jae saltanat ko zawal
kisi ke sar pe sada saya-e-huma na raha
nishan-e-'mushafi'-e-KHasta puchhte kya ho
wo KHak-e-rah to ab misl-e-naqsh-e-pa na raha
Ghazal
Wo aarzu na rahi aur wo muddaa na raha
Mushafi Ghulam Hamdani