wo aariz gulabi wo gesu ghanere
isi samt hain dida-o-dil ke phere
ujale ki rudad wo dil likhega
ki jis dil se paspa hue hain andhere
baDa farq hai tere mere jahan mein
idhar zulmat-e-shab udhar hain sawere
kisi se kabhi aap-biti na kahna
umaD aaenge har taraf se andhere
KHulus-o-dil-o-jaan meri kam-nigahi
fareb-e-musalsal bhi ehsan tere
wo ek wada-e-jam-e-sarshaar-o-rangin
wo ek sham lekin hazaron sawere
har ek fitna-gar dekh le rang-e-'saifi'
isi aashiyane mein sukh ke basere
Ghazal
Wo aariz gulabi wo gesu ghanere
Saifi Premi