wo aansu jo hans hans ke hum ne piye hain
tumhaare diye the tumhaare liye hain
karen wo jo chahen kahen wo jo chahen
main paband-e-ulfat mere lab siye hain
tumhaare hi rahm o karam ke sahaare
na malum mar mar ke kyunkar jiye hain
baDi der tak jis se ponchhe the aansu
wo daman abhi hath hi mein liye hain
use main hi samjhun use main hi jaanun
sitam kar rahe hain karam bhi kiye hain
kahan pa-e-nazuk kahan rah-e-ulfat
mere sath do ek qadam ho liye hain
hansata hai sab ko hamara fasana
hamin kahte kahte kabhi ro liye hain
gul o bagh o naghma mah o mehr o anjum
jo tum ho mere sab ye mere liye hain
uThate wo kyun mil ke bar-e-mohabbat
ye kya kam hai thoDa sahaara diye hain
bhale hain bure hain kisi se gharaz kya
'raza' wo bahar-haal mere liye hain
Ghazal
Wo aansu jo hans hans ke humne piye hain
Raza Lakhnavi