wo aankhen jin se mulaqat ek bahana hua
unhen KHabar hi nahin kaun kab nishana hua
sitara-e-sahari ka bharosa mat kijo
nae safar mein ye raKHt-e-safar purana hua
na jaane kaun si aatish mein jal bujhe hum tum
yahan to jo bhi hua hai darun-e-KHana hua
kuchh is tarah se wo shamil hua kahani mein
ki is ke baad jo kirdar tha fasana hua
usi sitare ne bhaTka diya sar-e-manzil
safar pe jo meri tahwil mein rawana hua
suna hai tujh ko to hum yaad bhi nahin aate
ye imtihan to nahin ye to aazmana hua
hamein to ishq muqaddar hai jaise rizq 'salim'
so chal paDenge jahan apna aab-o-dana hua
Ghazal
Wo aankhen jin se mulaqat ek bahana hua
Saleem Kausar