wo aankh mere liye nam hai kya kiya jae
use bhi aaj mera gham hai kya kiya jae
tere baghair kahin mera ji nahin lagta
tere baghair ye aalam hai kya kiya jae
sahar qarib hai ab kya wo aaenge milne
umid-e-wasl bahut kam hai kya kiya jae
KHata maf KHataen to hum se hongi zarur
ki ye to fitrat-e-adam hai kya kiya jae
ilahi ab koi chaara nahin dua ke siwa
mariz-e-hijr lab-e-dam hai kya kiya jae
wo mujh se milne ko aae hain meri maut ke baad
KHushi bhi mere liye gham hai kya kiya jae
baraste rahte hain din raat hijr mein 'purnam'
ye haal-e-dida-e-pur-nam hai kya kiya jae
Ghazal
Wo aankh mere liye nam hai kya kiya jae
Purnam Allahabadi