wo aalam tishnagi ka hai safar aasan nahin lagta
ba-zahir to mujhe barish ka bhi imkan nahin lagta
ye dil jagir hai jis ki usi ke nam kar di hai
jo mere dil ke aangan mein mujhe mehman nahin lagta
shuur-o-agahi kaisi koi wahshi koi sarkash
ye kaisa desh hai jis mein koi insan nahin lagta
nai qadren nai tahzib ka aaghaz hota hai
gulistan-e-adab hargiz kabhi viran nahin lagta
na ho mahfuz mal-o-zar na izzat-abru hi jab
to phir zinda kisi ka bhi mujhe iman nahin lagta
kahan ka faKHr kaisa naz man-anam ki man-danam
magar jo rab se paya hai mujhe arzan nahin lagta
KHuda rakkhe 'sabila' har ghaDi man-bap ka saya
dua se jin ki tufan bhi mujhe tufan nahin lagta
Ghazal
Wo aalam tishnagi ka hai safar aasan nahin lagta
Sabeela Inam Siddiqui