wo aalam hai ki munh phere hue aalam nikalta hai
shab-e-furqat ke gham jhele huon ka dam nikalta hai
ilahi KHair ho uljhan pe uljhan baDhti jati hai
na mera dam na un ke gesuon ka KHam nikalta hai
qayamat hi na ho jae jo parde se nikal aao
tumhaare munh chhupane mein to ye aalam nikalta hai
shikast-e-rang-e-ruKH aaina-e-be-tabi-e-dil hai
zara dekho to kyun kar gham-zadon ka dam nikalta hai
nigah-e-iltifat-e-mehr aur andaz-e-dil-jui
magar ek pahlu-e-betabi-e-shabnam nikalta hai
'safi' kushta hun na-pursaniyon ka ahl-e-alam ki
ye dekhun kaun mera sahab-e-matam nikalta hai
Ghazal
Wo aalam hai ki munh phere hue aalam nikalta hai
Safi Lakhnavi