wo aaj mujh se jab mili to dhund chhaT gai
magar na jaane kya hua zamin hi phaT gai
wo lamha ek chand tha mahakti raat ka
wo chand bujh saka na tha ki raat kaT gai
bayaz-e-dard jab khuli to dil hansa magar
guzishta ahd ki hawa waraq ulaT gai
hamara aisa daur bhi raha ki har gali
jidhar se hum guzar gae simaT simaT gai
tamam KHushk jism sabz sabz ho gaya
wo ek pyasi bel mujh se jab lipaT gai
KHayal us ka aaya to KHizan ki sham kya
kabhi kabhi to umr ki nadi palaT gai
Ghazal
Wo aaj mujhse jab mili to dhund chhaT gai
Sultan Subhani