wo aaj lauT bhi aae to is se kya hoga
ab us nigah ka patthar se samna hoga
zamin ke zaKHm samundar to bhar na paega
ye kaam dida-e-tar tujh ko saunpna hoga
hazar neze udhar aur main idhar tanha
meri shikast ka unwan hi dusra hoga
jo tez dhup mein sayon ki fasl bote hain
yahan ki aab o hawa ka unhen pata hoga
main aur ek qadam us ki samt baDh jata
pata na tha ki wo itna gurez-pa hoga
mera yaqin hai ki rah-e-wafa mein mere baad
mera safar tere qadmon ne tai kiya hoga
Ghazal
Wo aaj lauT bhi aae to is se kya hoga
Kaifi Wijdani