اردو हिंदी
Wo aai sham-e-gham waqf-e-bala hone ka waqt aaya | Shaahi Shayari
wo aai sham-e-gham waqf-e-bala hone ka waqt aaya

Ghazal

Wo aai sham-e-gham waqf-e-bala hone ka waqt aaya

Tilok Chand Mahroom

;

wo aai sham-e-gham waqf-e-bala hone ka waqt aaya
taDapne loTne ka dam fana hone ka waqt aaya

unhen apni jafaon par pashemani hui aaKHir
sharik-e-matam-e-ahl-e-wafa hone ka waqt aaya

udasi har sahar kahti hai mujh se bazm-e-anjum ki
uTh ai gham-dida uTh mahw-e-buka hone ka waqt aaya

tera milna kise milta hai mamnun-e-muqaddar hun
magar afsos milte hi juda hone ka waqt aaya

bahaar aai har ek zarre se phuTi husn ki duniya
fareb-e-ma-siwa ke haq-numa hone ka waqt aaya

qayamat-KHez hai husn-e-chaman ai bulbul-e-nalan
tere nalon se phir mahshar bapa hone ka waqt aaya

meri TuTi hui kashti thapeDe mauj-e-tufan ke
KHuda-e-pak tere naKHuda hone ka waqt aaya

jawani ja chuki 'mahrum' zauq-e-arzu kaisa
tumhaare be-niyaz-e-muddaa hone ka waqt aaya