wo aaghaz-e-mohabbat ka zamana
zara si baat banti thi fasana
qafas ko kyun samajh lun aashiyana
abhi to karwaTen lega zamana
ye kah kar sabr karte hain sitam par
hamara bhi kabhi hoga zamana
qafas se bhi nikala ja raha hun
kahan le jae dekho aab-o-dana
ghurur itna na kar tir-e-sitam par
ki aksar chuk jata hai nishana
agar bijli ka Dar hoga to un ko
bulandi par hai jin ka aashiyana
kahani dard-e-dil ki sun ke puchha
'qamar' sach kah ye kis ka hai fasana
Ghazal
Wo aaghaz-e-mohabbat ka zamana
Qamar Jalalvi