wo aaftab mein hai aur na mahtab mein hai
jo raushni ki tere husn-e-be-naqab mein hai
chaman mein lala-o-gul sharmsar hote hain
ajab tarah ka asar husn-e-be-naqab mein hai
main apne ishq-e-farawan pe naz karta hun
mera kamal mere husn-e-intiKHab mein hai
ujaD gaya hai mera gulshan-e-hayat magar
junun-e-shauq mera aalam-e-shabab mein hai
najat us ki ba-juz aashiqi nahin hogi
phansa hua jo zamane ke pech-o-tab mein hai
wo bazm-e-shauq mein shamil kabhi nahin hoga
jo bewaquf ki uljha hua hisab mein hai
wo walwala hai meri zindagi ki ruh-e-rawan
jo walwala ki mere shauq-e-be-hisab mein hai
wo be-naqab kiya jiddat-e-taKHayyul ne
jo raaz-e-kohna riwayat ke naqab mein hai
maal-e-josh-e-amal sar-bulandi-e-qatra
ye raaz-e-zist nihan KHema-e-habab mein hai
sukut mein hai zamane ki maut poshida
hayat wo hai jo har lahza iztirab mein hai
mujhe qubul nahin roz-o-shab ki KHamoshi
meri hayat faqat shor-e-inqalab mein hai
Ghazal
Wo aaftab mein hai aur na mahtab mein hai
Zahid Chaudhry