wo aaen ub gae hain jo dahr mein apne
main ek dasht banata hun shahr mein apne
kisi ki yaad bhanwar ban ke is tarah lipTi
ki panw chhoD hi aaya main nahr mein apne
sabhi ko banT ke shaklen KHudi rahe be-shakl
hamin akele musawwir the shahar mein apne
ginun jo phir se inhen ab to baDh gae honge
gine hain zaKHm abhi pichhle pahr mein apne
ghazal ka zaiqa marte samay bhi taza rahe
shakar milai hai so hum ne zahr mein apne
'charagh' hum se adibon ne fasla rakkha
tamam sher the haalanki bahr mein apne
Ghazal
Wo aaen ub gae hain jo dahr mein apne
Ayush Charag