wo aaega dil se dua to karo
namaz-e-mohabbat ada to karo
milega koi ban ke unwan bhi
kahani ki tum ibtida to karo
samajhne lagoge nazar ki zaban
mohabbat se dil aashna to karo
tumhein mar Dalengi tanhaiyan
hamein apne dil se juda to karo
tumhaare karam se hai ye zindagi
main bujh jaunga tum hawa to karo
hazaron manazir nigahon mein hain
rukoge kahan faisla to karo
pukare tumhein kucha-e-arzu
kabhi 'naqsh' dil ka kaha to karo
Ghazal
Wo aaega dil se dua to karo
Naqsh Layalpuri