wo aadmi nahin hai mukammal bayan hai
mathe pe us ke choT ka gahra nishan hai
wo kar rahe hain ishq pe sanjida guftugu
main kya bataun mera kahin aur dhyan hai
saman kuchh nahin hai phaTe-haal hai magar
jhole mein us ke pas koi sanwidhan hai
us sar-phire ko yun nahin bahla sakenge aap
wo aadmi naya hai magar sawdhan hai
phisle jo us jagah to luDhakte chale gae
hum ko pata nahin tha ki itni Dhalan hai
dekhe hain hum ne daur kai ab KHabar nahin
paon tale zamin hai ya aasman hai
wo aadmi mila tha mujhe us ki baat se
aisa laga ki wo bhi bahut be-zaban hai
Ghazal
Wo aadmi nahin hai mukammal bayan hai
Dushyant Kumar