wo aadmi jo teri aarzu mein marta hai
wo tujh se pyar nahin KHud se ishq karta hai
faza mein KHauf ke parcham buland hote hain
sawad-e-sham se lashkar koi guzarta hai
meri zamin ke bulawe ghazab ke hain lekin
koi junun mere par raat-din katarta hai
main apne aap ko ab kis ke chaak par rakkhun
shikasta zarf dobara kahin sanwarta hai
lage hue hain jahan par visal ke KHeme
udhar se hijr ka rahwar bhi guzarta hai
Ghazal
Wo aadmi jo teri aarzu mein marta hai
Asad Badayuni

