اردو हिंदी
Wo aa gaya to sara pari-KHana ji uTha | Shaahi Shayari
wo aa gaya to sara pari-KHana ji uTha

Ghazal

Wo aa gaya to sara pari-KHana ji uTha

Zubair Rizvi

;

wo aa gaya to sara pari-KHana ji uTha
aaraish-e-jamal se aaina ji uTha

mujh tak pahunch gaya to baDi baat jaaniye
aawaz-e-pa se jis ki mera zina ji uTha

yaran-e-mai-kada jo kabhi yaad aa gae
mujh mein KHumar-e-mahfil-e-parina ji uTha

the didani libason mein tarshe hue badan
oDhi jo us ne shaal to pashmina ji uTha

chae ki mez par gai shamon ka zikr tha
mujh mein bhi ek talluq-e-derina ji uTha