visal-o-hijr se wabasta tohmaten bhi gain
wo fasle bhi gae ab wo qurbaten bhi gain
dilon ka haal to ye hai ki rabt hai na gurez
mohabbaten to gain thi adawaten bhi gain
lubha liya hai bahut dil ko rasm-e-duniya ne
sitamgaron se sitam ki shikayaten bhi gain
ghurur-e-kaj-kulahi jin ke dam se qaem tha
wo juraten bhi gain wo jasaraten bhi gain
na ab wo shiddat-e-awargi na wahshat-e-dil
hamare nam ki kuchh aur shohraten bhi gain
dil-e-tabah tha be-nam hasraton ka dayar
so ab to dil se wo be-nam hasraten bhi gain
hue hain jab se barahna zaruraton ke badan
KHayal-o-KHwab ki pinhan nazakaten bhi gain
hujum-e-sarw-o-saman hai na sail-e-nikhat-o-rang
wo qamaten bhi gain wo qayamaten bhi gain
bhula diye gham-e-duniya ne ishq ke aadab
kisi ke naz uThane ki fursaten bhi gain
karega kaun mata-e-KHulus yun arzan
hamare sath hamari saKHwaten bhi gain
na chand mein hai wo chehra na sarw mein hai wo jism
gaya wo shaKHs to us ki shabahaten bhi gain
gaya wo daur-e-gham-e-intizar-e-yar 'sahar'
aur apni zat pe danista zahmaten bhi gain
Ghazal
Visal-o-hijr se wabasta tohmaten bhi gain
Sahar Ansari