visal-o-hijr ke qisse na yun sunao hamein
ab is azab-e-shab-o-roz se bachao hamein
kisi bhi ghar mein sahi raushni to hai hum se
numud-e-subh se pahle to mat bujhao hamein
nahin hai KHun-e-shahidan ki koi qadr yahan
laga ke daw pe hum ko na yun ganwao hamein
tamam umr ka sauda hai ek pal ka nahin
bahut hi soch samajh kar gale lagao hamein
guzar chuke hain maqam-e-junun se diwane
ye jaan lena agar kal yahan na pao hamein
hamare KHun se nikhar jae gham to kya kahna
baDhao dast-e-sitam dar par chaDhao hamein
karishma-sazi-e-fikr-o-nazar se kya hasil
bane ho KHizr to phir rasta dikhao hamein
ye lamha bhar ka tasawwur to jaan-lewa hai
jo yaad aao to ta-umr yaad aao hamein
kitab-e-ishq hain lekin na itni farsuda
ki be-paDhe hi faqat mez par sajao hamein
ujaD na jae urus-e-suKHan ki mang kahin
KHayal-o-fan ki nai jang se bachao hamein
Ghazal
Visal-o-hijr ke qisse na yun sunao hamein
Manzar Ayubi