visal-ghaDiyon mein reza reza bikhar rahe hain
ye kaisi rut hai ye kin azabon ke silsile hain
mere KHuda izn ho ki mohr-e-sukut toDen
mere KHuda ab tere tamashai thak chuke hain
na jaane kitni gulab-subhen KHiraj de kar
rasan rasan ghor amawason mein ghire hue hain
sadaen dene lagi thin hijrat ki apsaraen
magar mere panw dharti-man ne pakaD liye hain
yaqin kar lo ki ab na pichhe qadam haTega
ye aaKHiri had thi aur hum is tak aa gae hain
Ghazal
Visal-ghaDiyon mein reza reza bikhar rahe hain
Hasan Abbas Raza