wijdan mein wo aaya ilham hua mujh ko
main bhul gaya us ko wo bhul gaya mujh ko
ab Dub hi jaane de itna na gira mujh ko
sharminda na kar Dale tinke ki ana mujh ko
main gum-shuda logon ki fehrist mein dab jata
wo to mere dushman ne pahchan liya mujh ko
is ahd mein kya rakkha tha jis pe basar hoti
kya hota jo wirse mein milta na KHuda mujh ko
itni baDi duniya mein kab se main akela hun
ai rabb-e-karim apne bandon se mila mujh ko
Ghazal
Wijdan mein wo aaya ilham hua mujhko
Shuja Khaavar