اردو हिंदी
Viran viran baam-o-dar main aur meri tanhai | Shaahi Shayari
viran viran baam-o-dar main aur meri tanhai

Ghazal

Viran viran baam-o-dar main aur meri tanhai

Arshadul Qadri

;

viran viran baam-o-dar main aur meri tanhai
tariki mein Duba ghar main aur meri tanhai

us ke qad ki KHal-o-KHad ki surat ki sirat ki
baaten karte hain shab bhar main aur meri tanhai

jaane kis din wo aa jae banTe pyar asase
darwaza kashkol nazar main aur meri tanhai

hijr-ruton ke KHamoshi ke dil ki betabi ke
hain ek muddat se KHugar main aur meri tanhai

dard samundar mein 'arshad' thin shiddat-e-gham ki lahren
Dub rahe the bich bhanwar main aur meri tanhai